ai saba jazb pe jis dam dil-e-nashad aaya

ai saba jazb pe jis dam dil-e-nashad aaya
apni aaghosh mein ud kar wo pari-zad aaya

mahw-e-abru ke liye khanjar-e-faulad aaya
zabh karna bhi na tujh ko mere jallad aaya

sar-kashi par jo wo sarw-e-sitam-ijad aaya
pas aare ke ghisatta hua shamshad aaya

chashm-e-musa hama-tan ban gaya main hairat se
dekha ek but ka wo aalam ki khuda yaad aaya

dam-e-aghaz-e-junun tauq gulu-gir hua
ghul machane bhi na pae thi ki haddad aaya

kat gae mare khajalat ke jawanan-e-chaman
badh par qad jo tera o sitam-ijad aaya

aashiqon se na raha koi zamana khali
kabhi wamiq kabhi majnun kabhi farhad aaya

dil mein ek dard utha aankhon mein aansu bhar aae
baithe baithe hamein kya jaaniye kya yaad aaya

roe ghurbat mein hujum-e-gul-e-sahrai par
chaman-e-majma-e-yaran-e-watan yaad aaya

mizha-e-yar ke nashtar ke hue saudai
khun-e-fasid ki tarah josh mein fassad aaya

ban gaya khal-e-jabin kaukab-e-bakht-e-yusuf
kis taraqqi pe tera husn-e-khuda-dad aaya

aariz-e-saf ka khincha na gaya jab naqsha
aaina le ke tere samne bahzad aaya

bait-e-hasti ke 'saba' ho gae mani raushan
khwaja-'atish' sa zamane mein jo ustad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close