ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae

ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae
qissa-e-dard-e-wafa saut-o-sada mein aae

rut badalte hi nae rang ke manzar ubhre
kuchh parinde bhi nai mauj-e-hawa mein aae

hum to aaina-numa the hi safa-keshi mein
nam kuchh aur bhi arbab-e-safa mein aae

ishq ta-haal to matruk nahin ho paya
inqilabaat bhi go rah-e-wafa mein aae

kuchh gul-e-nilofari jhil ki tariki se
apni danist mein aqlim-e-baqa mein aae

kya kahen us ko tazadat-e-zamana ke siwa
kitne darwesh the jo shahi qaba mein aae

khwab aankhon mein liye hum bhi ba-taid-e-junun
kaise ek jalwa-gah-e-khwab-numa mein aae

shorish-e-ahd mein ye tazkira-e-ishq-e-wafa
jaise naghma sa koi bang-e-dara mein aae

khud ko gum kar ke kisi aur ke pa lene tak
marhale aur bhi takmil-e-ana mein aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close