aisa jina bhi kya hai mar mar ke wo jahan bhi rahe rahe dar ke ab kisi tarah dil nahin lagta ghar mein sab kuchh to hai siwa ghar ke sans ka bojh ab nahin uthta jism khali hai dhad bina sar ke us ko jaane ki kitni jaldi thi baat sari kahi pa kam kar ke jalwa dekha lahu ka us ne jab hosh hi ud gae the khanjar ke ret-o-sahil mein sulh phir na hui thak gai mauj iltija kar ke zakhm kuchh is tarah se hanste hain ashk bahne lage hain nashtar ke ras aaya gham-e-shanasai war pahchan ke the khanjar ke us ko naraaz hona aata hai? wari jaun main aise tewar ke