aisa nahin koi ki shanasa kahen jise

aisa nahin koi ki shanasa kahen jise
milta kahan hai koi hum apna kahen jise

ek markaz-e-khayal hai duniya kahen jise
koi nazar to aae ki tum sa kahen jise

saya bhi bhagta hai jahan apni zat se
wo hai sarab dasht-e-tamanna kahen jise

zulf-e-daraaz ban ke ulajhti rahi mudam
ek tar-e-ankabut hai duniya kahin jise

'mahir' wahi na kahte hain sab jis ko aadmi
hain khubiyan hi kya ki hum achchha kahen jise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close