aise hijr ke mausam kab kab aate hain tere alawa yaad hamein sab aate hain jagti aankhon se bhi dekho duniya ko khwabon ka kya hai wo har shab aate hain jazb kare kyun ret hamari ashkon ko tera daman tar karne ab aate hain ab wo safar ki tab nahin baqi warna hum ko bulawe dasht se jab tab aate hain kaghaz ki kashti mein dariya par kiya dekho hum ko kya kya kartab aate hain