aish ki jaanib jo mail kuchh tabiat ho gai

aish ki jaanib jo mail kuchh tabiat ho gai
dil pe ghussa aa gaya apne se nafrat ho gai

mujh ko khud apni tabahi par taras aata nahin
khugar-e-gham is qadar ab to tabiat ho gai

aai jab stage par duniya to dil khush ho gaya
jab utha anjam ka parda to nafrat ho gai

aa gain jumbish mein taslim-o-raza ki quwwaten
lab mile hi the pae shikwa ki aafat ho gai

istilah-e-bandagi mein ruh hain taron ki 'josh'
chand zarre jin se peshani ki zinat ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close