aish sab khush aate hain jab talak jawani hai murda-dil wo hota hai jo ki shekh fani hai jab talak rahe jita chahiye hanse bole aadmi ko chup rahna maut ki nishani hai jo ki tera aashiq hai us ka ai gul-e-rana rang-e-zafrani hai ashk-e-arghawani hai aah ki nahin taqat tab nahin hai nale ki hijr mein tere zalim kya hi na-tawani hai chaar din ki ishrat par dil laga na duniya se kahte hain ki jannat mein aish-e-jawedani hai gul-rukhan ka aab-o-rang dekhne se mere hai husn ki gulistan ki mujh ko baghbani hai dil se kyun nahin chahun yar ko ki ai 'taban' dil-ruba hai pyara hai jiwda hai jaani hai