aisi koi darpesh hawa aai hamare

aisi koi darpesh hawa aai hamare
jo sath hi patte bhi uda lai hamare

wo abr ki chhaya raha aankhon ke ufuq par
wo barq jo andar kahin lahrai hamare

dekha hai bahut khwab-e-mulaqat bhi har-ros
hisse mein jo ab aai hai tanhai hamare

is bar mili hai jo natije mein burai
kaam aai hai apni koi achchhai hamare

the hi nahin maujud to kyun khalq ne us ki
chaaron taraf afwah si phailai hamare

phir jhut ki is mein hamein karni hai milawat
phir ras nahin aaegi sachchai hamare

darte hue khola to hai ye bab-e-taaruf
pad jae gale hi na shanasai hamare

dawa to bahut ramz-shanasi ka use tha
ye khalq ishaare na samajh pai hamare

chal bhi diye dikhla ke tamasha to 'zafar' hum
baithe rahe ta-der tamashai hamare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close