ajab koi zor-e-bayan ho gaya hun ruka hun to phir se rawan ho gaya hun bahut gard udne lagi mere pichhe akela hi main karwan ho gaya hun sabhi mere hone pe khush ho rahe hain mujhe bhi batao kahan ho gaya hun kinare nikal aae hain mere andar ba-zahir to main be-karan ho gaya hun kisi kaam se shadman hote hote kisi baat se bad-guman ho gaya hun kisi ke liye waqia hun yahan par kisi ke liye dastan ho gaya hun main bahar to mahfuz tha har tarah se ghar aaya hun aur be-aman ho gaya hun jo padne lagi thi bahut meri qimat hun sharminda aur raegan ho gaya hun 'zafar' kaam lun ab ishaaron se kab tak zaban tod kar be-zaban ho gaya hun