ajib kaifiyat aaKHir talak rahi dil ki

ajib kaifiyat aakhir talak rahi dil ki
faraaz-e-dar mein bhi justuju thi manzil ki

wo husn jis se mila hai mujhe shuur-e-wafa
khuda nahin tha to kyun wahi-e-ishq nazil ki

tarashe kitne hi but aazari ke fan ne magar
mili na ek bhi surat tere muqabil ki

ab aankhen band hain taki koi samajh na sake
meri nigah mein taswir hogi qatil ki

dimagh dida o dil sab ne rokna chaha
magar junun ne meri har dalil baatil ki

isi ko kahte hain sahil pe rah ke tishna-labi
talash hai teri mahfil mein jaan-e-mahfil ki

ye baat sach hai ki marna sabhi ko hai lekin
alag hi hoti hai lazzat nigah-e-qatil ki

tha rahbaron pe bharosa to ab bhatakta hun
mujhe khabar hi nahin thi fareb-e-manzil ki

miyan 'shahid' ye mana ki tum bhi shaer ho
magar batao ki haq aagahi bhi hasil ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close