ajib KHwab tha uske badan mein kai thi

ajib khwab tha us ke badan mein kai thi
wo ek pari jo mujhe sabz karne aai thi

wo ek charag-kada jis mein kuchh nahin tha mera
jo jal rahi thi wo qindil bhi parai thi

na jaane kitne parindon ne is mein shirkat ki
kal ek ped ki taqrib-e-ru-numai thi

hawaw aao mere ganw ki taraf dekho
jahan ye ret hai pahle yahan tarai thi

kisi sipah ne kheme laga diye hain wahan
jahan pe main ne nishani teri dabai thi

gale mila tha kabhi dukh bhare december se
mere wajud ke andar bhi dhund chhai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close