akasr meri zamin ne mere imtihan liye zinda hun apne sar pe kai aasman liye bechaargi kabhi mujhe sabit na kar saki kya kya meri hayat ne mere bayan liye apni sadaqaton se bhi lagne laga hai dar chalna hai is zamin pe sarab-e-guman liye aur main ki apni zat se nisbat nahin meri har shakhs phir raha hai meri dastan liye mangi nahin hai main ne kisi aasman se dhup zinda hun apne hathon mein apna jahan liye sara qusur jaise meri bebasi ka tha ilzam apne sar pe kisi ne kahan liye unwan iztirab kiye kitne fasle tum ne qadam qadam pe mere imtihan liye pahna unhen to main bhi dhanak-posh ho gai apna samajh ke main ne tumhaare nishan liye 'usha' tamam umr kati intizar mein aaya na koi ghar mein dil-e-mehrban liye