akasr raat gae tak main chaukhat par baitha rahta hun cigarette pita chand ko takta man mein bikta rahta hun rack pe rakh kar bhul gaya tha us ke chehre aisi kitab hath mein jab aa jati hai to pahron padhta rahta hun marmar ka patthar ban jati hai jab pure chand ki raat apni nazron ki chhini se muraten ghadta rahta hun aakhiri show se lautne wale bhi ghaeb ho jate hain main jaane kin taswiron mein kab tak khoya rahta hun