amn-qariyon ki shafaq-fam sunahri chidiyan mere kheton mein udin sham sunahri chidiyan nariyan dil ke mazafat mein utrin aa kar hu-ba-hu jaise sar-e-baam sunahri chidiyan mere uslub mein kahti hain fasane gul ke chuhlen karti hain mere nam sunahri chidiyan kachchi umron ke shariron ko salami meri jin ke atraf bunen dam sunahri chidiyan gul khilati hai usi shakhs ki sanson ki mahak jis ke gawon mein bahut aam sunahri chidiyan