andar ki duniyaen mila ke ek nagar ho jaen ya phir aao mil kar tuten aur khandar ho jaen ek nam padhen yun donon aur dua yun mangen ya sajde se sar na uthen ya lafz asar ho jaen khair aur shar ki aamezish aur aawezish se nikhren bhul aur tauba karte sare sans basar ho jaen hum azali aawara jin ka ghar hi nahin hai koi lekin jin raston se guzren raste ghar ho jaen ek gunah jo fani kar ke chhod gaya dharti par wahi gunah dobara kar len aur amar ho jaen sufi sadhu ban kar teri khoj mein aise niklen khud hi apna rasta manzil aur safar ho jaen rizq ki tangi ishq ka rog aur log munafiq sare aao aise shahr se 'haidar' shahr-badar ho jaen