andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai

andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai
guzri hai jo dil par wo qayamat hi alag hai

le jae jahan chahe hawa hum ko uda kar
tute hue patton ki hikayat hi alag hai

pardes mein rah kar koi kya panw jamae
gamle mein lage phul ki qismat hi alag hai

jitna hai samar jis pe wo utna hai khamida
phaldar darakhton ki tabiat hi alag hai

bahar se to lagta hai ki shadab hai gulshan
andar se har ek ped ki haalat hi alag hai

har ek ghazal tujh se hi mansub hai meri
andaz mera teri badaulat hi alag hai

kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib'
is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close