andeshon ke shahr mein rahna teri meri aadat hai mahrumi ke sadme sahna teri meri aadat hai armanon ki nazuk malaen pahnana shamon ko yaad pawan ke sath hi bahna teri meri aadat hai khub sulagte jaana barfile lamhon ke sayon mein dukh ka ek bhi lafz na kahna teri meri aadat hai khwabon se bahlana dil ko ho jaana behad masrur logon ki tabiren sahna teri meri aadat hai subh irade din tadbiren sham khalish aur shab tashwish har haalat mein zinda rahna teri meri aadat hai qurb-e-'qaisar' be-bas hona duri ka sah lena rog jine ki rudad na kahna teri meri aadat hai