anis-e-jaan hain abhi tak nishaniyan uski

anis-e-jaan hain abhi tak nishaniyan us ki
bhulae bhul na pae kahaniyan us ki

har ek lahje mein shamil hai zaiqa us ka
sada sada mein hain gauhar-fishaniyan us ki

kisi ko mar gaya is ka tund-o-tez mizaj
hamein to mar gain qadr-daniyan us ki

zara si baat pe us ka simat simat jaana
wo baat baat pe nazran jhukaniyan us ki

kiye hain jab bhi taqaze nae nae us se
suni hain phir wahi baatan puraniyan us ki

kisi ki baat pe us ka mahak mahak uthna
wo mere zikr pe kuchh bad-gumaniyan us ki

nazar mein husn kisi ka 'hasan' samata nahin
ki hum ne dekhi hain uthti jawaniyan us ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close