apna har ek usul mujhe haarna paDa

apna har ek usul mujhe haarna pada
thi jit hi fuzul mujhe haarna pada

tadbir meri ek na mani bahaar ne
patjhad ke aage phul mujhe haarna pada

eazaz e'timad hai us ka diya hua
garche na tha qubul mujhe haarna pada

us ki khushi thi bais-e-fath-e-hayat-e-nau
jab wo hua malul mujhe haarna pada

jab tak hawa thi saf tha maidan hath mein
aankhon mein aai dhul mujhe haarna pada

mere bhi kya nasib ki waqt-e-dua 'muhit'
sheron ka tha nuzul mujhe haarna pada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close