apne ahwal pe hum aap the hairan baba

apne ahwal pe hum aap the hairan baba
aankh dariya thi magar dil tha bayaban baba

ye wo aansu hain jo andar ki taraf girte hain
hon bhi to hum nazar aate nahin giryan baba

is qadar sadma hai kyun ek dil-e-viran par
shahr ke shahr yahan ho gae viran baba

ye shab o roz ke hangamon se sahme hue log
rahte hain mauj-e-saba se bhi hirasan baba

unchi diwaron se bahar nikal aae to khula
hum ne sinon mein bana rakkhe hain zindan baba

khush-guman ho ke na baith in dar-o-diwar se puchh
ahl-e-khana bhi hain kuchh roz ke mehman baba

yakh hawaon se mujhe aati hai khush-bu-e-bahaar
shola-e-gul ki amin hai ye zamistan baba

gard-baad aaen ki girdab, bayaban ho ki bahr
zindagi hoti hai aap-apni nigahban baba

gai rut laut bhi aati hai 'ziya' hausla rakh
hum ne dekhi hain siyah shakhon pe kaliyan baba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close