apne ghar par bula liya us ne dip sare bujha diya us ne chandni si bikhar gai har-su rukh se parda hata diya us ne kho gaya us ki mast aankhon mein aise nazren mila liya us ne rakh ke godi mein sar mera apni dil ki dhadkan badha diya us ne kyun na ho naz apni qismat par mujh ko apna bana liya us ne waqt-e-rukhsat nami thi aankhon mein hath phir bhi hila diya us ne laut kar aaunga main phir ek din wada mujh se kara liya us ne gum hai 'tauqir' us ki yaadon mein jam-e-ulfat pila diya us ne