apne hi aap mein asir hun main apne zindan mein be-nazir hun main ek shahr-e-khayal hai mera apne is shahr ka amir hun main badhta jata hai zindagi ka khat ek ghatti hui lakir hun main kyun bulate ho ab jahan walo ek gosha-nashin faqir hun main qarz is dil pe ulfaton ke hain doston ka karam amir hun main khich ke yun hi kaman mein hun qaid chhut jaun to ek tir hun main main ne dekhi hai waqt ki karwat mujh ko dekho ki ek basir hun main