apne is shauq ka izhaar karen bhi ki nahin pyar waise bhi hai dushwar karen bhi ki nahin kya zaruri hai ye iqrar ki muhtaj rahe hum mohabbat ko yun lachaar karen bhi ki nahin ho gain ishq ki nilam dukanen kitni ye khasare ka hai bewpar karen bhi ki nahin kahte hain is se mohabbat ka maza badhta hai karni hai chhoti si takrar karen bhi ki nahin hai khabar aaj to qatil hain adaen un ki jaan le sakta hai didar karen bhi ki nahin dagmaga jaegi jo dekh le un aankhon mein apni niyyat ko yun sarshaar karen bhi ki nahin ishq hai wo hasin ghalati ki 'nawa' puchhte hain ek dafa ho gai har bar karen bhi ki nahin