apne ji mein jo than lenge aap ya hamara bayan lenge aap justuju qaede ki ho warna dar-ba-dar khak chhan lenge aap ahd-e-hazir ke baad aaega wo zamana ki jaan lenge aap yun to ghussa haram hai lekin roz jab imtihan lenge aap aap ko mehrban samajhte hain aur kya nak kan lenge aap saf kahiye ki chahte kya hain kya gharibon ki jaan lenge aap ye harifan-e-kam-nazar ai 'shad' mujh ko ek roz man lenge aap