apne mehwar se jab utar jaun phul ki tarah phir bikhar jaun laut phir aaun kaise mehwar par koi batlao kya main kar jaun jaane kya kah rahi hai duniya ab pahle kahti thi kyun na mar jaun mujh se hargiz se na ho sakega kabhi khud ko auron ke jaisa kar jaun dub jaun bhanwar ke sath kahin lahar ke sath phir ubhar jaun laut aaya to hun main mehwar par ab ye khwahish hai phir bikhar jaun