apne nale mein gar asar hota qatra-e-ashk bhi guhar hota jin ke name ki hai pahunch tujh tak kash main un ka nama-bar hota dil na deta jo main tujhe zalim kyun meri jaan ka zarar hota phir na karta sitam kisi pe agar haal se mere ba-khabar hota khun-e-ushshaq karte kyun nahaq gar buton ko khuda ka dar hota kaam aata main ek din pyare rabt mujh se tujhe agar hota khinchti fauj-e-khat jo husn pe tegh sina mera hi wan sipar hota 'soz' ko shauq kabe jaane ka hai bahut par zyaada-tar hota shaikh manind tere us ke pas bar-bardari ko jo khar hota
This is a great name shayari wallpaper. Please share if you liked this!!!