apne wadon ko faramosh na kar dena tha saz-e-altaf ko khamosh na kar dena tha apni nazron se agar mujh ko kiya tha ojhal apne dil se to faramosh na kar dena tha nahin aata tha agar hosh mein lana tum ko kisi kambakht ko behosh na kar dena tha har-nafas maut ke qadmon ki sada sunne ko zindagi ko hama-tan-gosh na kar dena tha aansuon mein faqat ab mujh ko nazar aate ho is tarah to mujhe gham-kosh na kar dena tha na uthana tha dar-e-mai-kada-e-naz se ab warna pahle mujhe mai-nosh na kar dena tha hashr bhi ya to bahisht-afrin karna tha mera ya meri qabr ko gul-posh na kar dena tha is tarah zahmat-e-farda ko badhane ke liye mujh ko khamyaza-kash-e-dosh na kar dena tha aankh mein dekh kar aansu mujhe rashk aata hai itna viran to aaghosh na kar dena tha daftar-e-naz pe kuchh bar na tha is ka niyaz apne 'bismil' ko subuk-dosh na kar dena tha