apni ana ke gumbad-e-be-dar mein band hai lekin ba-zom-e-khud wo falak tak buland hai har manzil un ke waste bas ek zaqand hai wo log apna azm hi jin ka samand hai aata hai bar bar fareb-e-khulus mein kya sada-lauh apna dil-e-dard-mand hai jo iltihab-e-atish-e-gham se hai nala-kash wo dil nahin chatakhta hua ek sipand hai shayad maal-e-khanda-e-gul hai nigah mein lab par kali kali ke ajab zahr-e-khand hai har zi-hayat is mein rahe umr bhar asir tar-e-nafas bhi ek tarah ki kamand hai shamil hain talkhiyan bhi halawat ke sath sath ye zindagi hai zahr-e-halahal na qand hai 'tanwir' shahr-e-sang mein shishagari ki baat yaran-e-mehrban ko bahut na-pasand hai