apni bahaar pe hansne walo kitne chaman KHashak hue

apni bahaar pe hansne walo kitne chaman khashak hue
apne rafu ko ginne walo kitne gareban chaak hue

diwanon ko kaun batae aaj ki rasm aur aaj ki baat
is ne unhin ki samt nazar ki ishq mein jo bebak hue

shoabada-e-yak tarz-e-karam hai kaisi saza aur kaisi jaza
mauj-e-tabassum jab lahrai tar-daman bhi pak hue

rukh dekha jis samt hawa ka us jaanib munh kar ke chale
dasht-e-junun ke diwane bhi misl-e-saba chaalak hue

khak-e-nasheman jab udti hai dil se dhuan sa uthta hai
hadse is gulzar mein warna aur bahut ghamnak hue

dekhte dekhte duniya badli gulshan kya virana kya
parbat parbat naqsh the jin ke mitte mitte khak hue

jaan-e-chaman jo gul the 'akhtar' wo to hue matub o zalil
zeb-e-gulistan raunaq-e-gulshan kal ke khas-o-khashak hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close