apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye

apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye
akhbar mein to nam mera chhap dijiye

dekho jise wo pioneer office mein hai data
bahr-e-khuda mujhe bhi kahin chhap dijiye

chashm-e-jahan se haalat-e-asli chhupi nahin
akhbar mein jo chahiye wo chhap dijiye

dawa bahut bada hai riyazi mein aap ko
tul-e-shab-e-firaq ko to nap dijiye

sunte nahin hain shaikh nai raushni ki baat
engine ki un ke kan mein ab bhap dijiye

is but ke dar pe ghair se 'akbar' ne kah diya
zar hi main dene laya hun jaan aap dijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close