apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna

apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna
lekin shahr ki khamoshi bhi dhyan mein rakhna

mere jhut ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi mizan mein rakhna

kal tarikh yaqinan khud ko dohraegi
aaj ke ek ek manzar ko pahchan mein rakhna

bazm mein yaron ki shamshir ke jauhar dekho
razm mein lekin talwaron ko myan mein rakhna

is dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be-sahil hai ye bhi dhyan mein rakhna

is mausam mein gul-danon ki rasm kahan hai
logo ab phulon ki aatish-dan mein rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close