apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage

apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage
qaid ka saman kiya aur us ko ghar kahne lage

darj hai tarikh-e-wasl-o-hijr ek ek shakh par
baat jo hum tum na kah pae shajar kahne lage

khauf-e-tanhai dikhata tha ajab shaklen so hum
apne sae hi ko apna ham-safar kahne lage

bastiyon ko bantne wala jo khat khincha gaya
khat kashida log us ko rah-guzar kahne lage

awwal awwal doston par naz tha kya kya hamein
aakhir aakhir dushmanon ko mo'tabar kahne lage

dekhte hain ghar ke rauzan se jo nila aasman
wo bhi apne aap ko ahl-e-nazar kahne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close