apni nakaam tamannaon ka matam na karo

apni nakaam tamannaon ka matam na karo
tham gaya daur-e-mai-e-nab to kuchh gham na karo

aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo

han ye shamshir-e-hawadis ho to kuchh baat bhi hai
gardanen tauq-e-ghulami ke liye kham na karo

tum to ho rind tumhein mahfil-e-jam se kya kaam
bazm-e-jam ho gai barham to koi gham na karo

baada-e-kohna dhale saghar-e-nau mein 'fitrat'
zauq-e-fariyaad ko aazurda-e-matam na karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close