apni to guzri hai akasr apni hi man-mani mein

apni to guzri hai akasr apni hi man-mani mein
lekin achchhe kaam bhi hum ne kar dale nadani mein

hum thahre aawara panchhi sair gagan ki karte hain
jaan ke hum ko kya karna hai kaun hai kitne pani mein

ruh ko us ki rah ka patthar banna hi manzur na tha
bazi hum ne hi jiti hai apni is qurbani mein

yar nai kuchh baat agar ho hum bhi sajda kar lenge
akasr ek hi baat suni hai sab santon ki bani mein

mehnat kar ke hum to aakhir bhuke bhi so jaenge
ya maula tu barkat rakhna bachchon ki gud-dhani mein

mauqe to hum tak bhi aae khub kama kha lete hum
lekin ek zamir tha bhitar allah ki nigrani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close