apnon se murawwat ka taqaza nahin karte sahraon mein sae ki tamanna nahin karte majnun pe na kar rashk ki jo ahl-e-wafa hain mar jate hain mashuq ko ruswa nahin karte tuk dekh liya aankhon hi aankhon mein hanse bhi par yun to ilaj-e-dil-e-shaida nahin karte kya ho gaya is shahr ke logon ke dilon ko khanjar bhi utar jae to dhadka nahin karte barish ki talab hai to samundar ki taraf ja ye abr to sahraon pe barsa nahin karte do din ki jo baqi hai tahammul se basar kar jo hona hai ho jaega socha nahin karte pachhtawe se badh kar koi aazar nahin hai jab dil ko lagate hain to roya nahin karte mayusi ki neamat badi mushkil se mili hai phir aas bandhate ho tum achchha nahin karte jo kuchh kahe 'shohrat' ki ghazal man lo us ko dil ko kabhi shaer ke dukhaya nahin karte