aql gahwara-e-auham hui jati hai har tamanna meri nakaam hui jati hai bais-e-shorish-e-kaunain hai insan ki khudi be-khudi morid-e-ilzam hui jati hai apne parwanon ko ai sham-e-musalsal na jala zindagi waqif-e-anjam hui jati hai har rawish par chaman-e-dahr mein yun gul na khila har nazar dil ke liye dam hui jati hai yun bhi koi rukh-e-raushan se uthata hai naqab har nazar morid-e-ilzam hui jati hai kin fazaon mein ziya-rez hai ai mehr-e-jamal khana-e-dil mein mere sham hui jati hai ho ke majbur musalsal gham-o-andoh se 'naz' zindagi gharq-e-mai-o-jam hui jati hai