arsh o kursi ki khabar lae hain lane wale ek musa hi na the tur ke jaane wale tur ko tum ne jalaya to badi baat na ki aag pani mein lagate hain lagane wale mere marqad ko bhi aa kar kabhi thukra jaana are o fitna-e-mahshar ke jagane wale ek aalam tere aashiq ne kiya khal-e-siyah do hi nale kiye the tur jalane wale kab talak apne karishme hamein dikhlaoge ai miyan roz nae tarz dikhane wale meri taqdir jo palte to tajjub kya hai sunte hain bigdi banate hain banane wale tum jo aankhon mein meri aae to ehsan kiya aankhen kya dil mein samate hain samane wale lakh ho mana-e-fariyaad magar kya hoga arsh ko sar pe utha lenge uthane wale apni qismat nahin aisi ki ho didar 'anjum' muntazir jin ke hain kab aaen wo aane wale