arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake

arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake
mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake
wahdat mein teri harf dui ka na aa sake
aaina kya majal tujhe munh dikha sake
main wo fatada hun ki baghair-az-fana mujhe
naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sake
qasid nahin ye kaam tera apni rah le
us ka payam dil ke siwa kaun la sake
ghafil khuda ki yaad pe mat bhul zinhaar
apne tain bhula de agar tu bhula sake
ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yan
daude hazar aap se bahar na ja sake
go bahs kar ke baat bithai bhi kya husul
dil se utha ghilaf agar tu utha sake
itfa-e-nar-e-ishq na ho aab-e-ashk se
ye aag wo nahin jise pani bujha sake
mast-e-sharab-e-ishq wo be-khud hai jis ko hashr
ai 'dard' chahe lae ba-khud phir na la sake
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close