ashaar ki taKHliq mein jalta hai jigar kyun

ashaar ki takhliq mein jalta hai jigar kyun
yarab mujhe bakhsha hai ye jaan-soz hunar kyun

gham ishq ki saughat hai sine se laga le
phulon ki tamanna hai to kanton se hazar kyun

kuchh had se siwa hain mere gham-khwar wagarna
rahti hai mere haal pe yaron ki nazar kyun

kal jis ko sar aankhon par bithata tha zamana
baitha hai sar-e-rah wo ab khak-basar kyun

aariz ke gulabon pe udasi ki ye shabnam
namnak hain aankhen teri aaj ai gul-e-tar kyun

phir kaun gaya pichhle pahar bazm se uth kar
phir sog ka aalam hai ye hangam-e-sahar kyun

patthar ke siwa 'chand' yahan kuchh na milega
baitha hai sajae hue shishon ka tu ghar kyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close