ashk aaya aankh mein jalta hua aaj soz-e-gham ka andaza hua zindagi guzri ummid-o-yas mein dil kabhi gulshan kabhi sahra hua zikr-e-zulf-e-yar rahne do abhi masala hai zist ka uljha hua ban gaya daman mein wo aansu guhar jo na meri aankh ka tara hua barha ruk ruk gai nabz-e-jahan husn ka jadu hai kya chalta hua gardishon se kya mujhe dega najat jam khud gardish mein hai aaya hua dil wo kya jo gham se ho na-ashna gham wo kya jis ka ki andaza hua hum pareshan-haal 'fazil' se mile hai tabiat ka bahut suljha hua