ashk yun bahte hain sawan ki jhadi ho jaise ya kahin pahle-pahal aankh ladi ho jaise kitni yaadon ne sataya hai meri yaad ke sath gham-e-dauran gham-e-jaanan ki kadi ho jaise bu-e-kakul ki tarah phail gaya shab ka sukut teri aamad bhi qayamat ki ghadi ho jaise yun nazar aate hain ikhlas mein dube hue dost dushmanon par koi uftad padi ho jaise jalwa-e-dar idhar jannat-e-didar udhar zindagi aaj dorahe pe khadi ho jaise yun khayal aate hi har sans mein mahsus hua gham-e-mahbub teri umr badi ho jaise