asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle

asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle
bahut dinon mein safine sarab se nikle

tapish hai aisi shabon mein ki ud gai ninden
sabhi chamakte hue rang khwab se nikle

hisar-e-jabr se mumkin najat thi lekin
jhuka ke sar na kisi tang bab se nikle

kabhi to dard ka shoala zaban par bhadke
dahakta khun ragon ke azab se nikle

bhare gharon se bichhadne ka gham nahin 'shahin'
yahi bahut hai ki shahr-e-kharab se nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close