asir-e-jism hun darwaza toD Dale koi

asir-e-jism hun darwaza tod dale koi
gira pada hun kunen mein mujhe nikale koi

main apne aap mein utra khada hun sadiyon se
qarib aa ke mere meri thah pa le koi

main jangalon mein darindon ke sath rahta raha
ye khauf hai ki ab insan na aa ke kha le koi

shikasta kashti ke takhte pe so raha hun main
thapeda maujon ka aa kar mujhe jaga le koi

dahan-e-zakhm talak khinch ke aa chuka hai ab
main muntazir hun ye zahrab chus dale koi

zamin pyasi hai tan mein lahu nahin baqi
hamara bojh bahut kam hai ab utha le koi

yaqin nahin hai kisi ko mere bikharne ka
kasif zehnon ke kar jae saf jale koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close