asr-e-hazir ka jo insan nazar aata hai bas pareshan pareshan nazar aata hai nafrat-o-bughz ki masmum hawa aisi chali kucha-e-jaanan bhi viran nazar aata hai meri hasti ki imarat bhi gira sakta hai us ki aankhon mein jo tufan nazar aata hai zinda insan bhi jalte hain chitaon mein jahan mulk ye aisa hi shamshan nazar aata hai hadisa kaisa ye guzra hai ki har su mujh ko karb-o-azar ka tufan nazar aata hai is qadar badh gai saffaki-e-insan 'ahsan' jis ko dekho wahi haiwan nazar aata hai