attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai sone ki muqabil mein har samt hi mitti hai tu sahab-e-qudrat hai tu apna karam rakhna sahra ki taraf mail haalat ki kashti hai raushan hai darakhshan hai ye daur ba-zahir to mazdur ke bas mein to bas ridh ki haddi hai lamhon ki taaqub mein sadiyon ki dharohar thi afsos ke daman mein ghurbat ki ye basti hai wo sahab-e-masnad hain is se unhen kya matlab jazbon ke darichon se jari koi naddi hai har khwab shikasta hai tamir-e-nasheman ka har subh ke mathe par bazar ki garmi hai kuchh aur masail se uljhega abhi 'alam' har sahib-e-alam pe chhai abhi masti hai
This is a great sagar sahab shayari. Please share if you liked this!!!