aur manzar hain bahut chashm-e-kharidar mein ab khwab bikte hi nahin shahr ke bazar mein ab sham gul hoti chali jati hai rafta rafta sham-e-gul jalti nahin gulshan-e-didar mein ab waiz-e-shahr nahin shahr-e-sitamgar bhi tamam naqd-e-jaan mangte hain jurat-e-inkar mein ab habs-e-jaan hai ki umadta hi chala aata hai barish-e-mai bhi chali jati hai be-kar mein ab shaikh-sahab kabhi sidhe to nahin the lekin pech-dar-pech hain in jubba-o-dastar mein ab