aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe

aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe
bas mere parda-dar bas! ab nahin hausla mujhe

sakht nazar-fareb hai aaina-khana-e-jamal
us ki chamak-damak na dekh, dekh bujha bujha mujhe

habs-e-hujum-e-khalq se ghut ke alag hua to main
qatra ba-sath-e-bahar tha chat gai hawa mujhe

sabr karo muhasibo waqt tumhein bataega
dahr ko main ne kya diya dahr se kya mila mujhe

sirf usi ke samne khwar kiya tha aas ne
yas ne fard fard par aaina kar diya mujhe

tere hi misr ka malal tere hi najd ka khayal
shahr-ba-shahr ku-ba-ku gam-ba-gam tha mujhe

kar-gah-e-baqa mujhe zat-o-hayat-o-kaenat
zat-o-hayat-o-kaenat daera-e-fana mujhe

zat-o-hayat-o-kaenat be-sar-o-pa o be-sabaat
be-sar-o-pa o be-sabaat shai se umid kya mujhe

raat lughat-e-umr se main ne chuna tha ek lafz
lafz bahut ajib tha yaad nahin raha mujhe

tha guzaran guzar gaya waqt-e-visal aur bas
khak bhi chhanta phira phir na kabhi mila mujhe

main ne hansi-khushi use jaane diya tha han magar
ye to muahida na tha mud ke na dekhna mujhe

sham us aadmi ki yaad aai jo ek umr baad
jaaniye kis azab mein kar gai mubtala mujhe

main ne use shikast di sina-ba-sina lab-ba-lab
sina-ba-sina lab-ba-lab us ne hara diya mujhe

jo na suna tha dahr se us ki zaban se sun liya
ab mujhe koi kuchh kahe fikr nahin zara mujhe

hain teri mehrbaniyan bhuli hui kahaniyan
bhuli hui kahaniyan yaad na ab dila mujhe

fan ko samajh liya gaya mahz atiyya-e-falak
sai-o-riyaz ka sila khub diya gaya mujhe

mahram-e-khas dekhna so to nahin gaya 'shuur'
der hui sune hue koi nai sada mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close