aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka subh ka hona dubhar kar den rasta rok sitaron ka jhute sikkon mein bhi utha dete hain ye aksar sachcha mal shaklen dekh ke saude karna kaam hai in banjaron ka apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka jis jipsi ka zikr hai tum se dil ko usi ki khoj rahi yun to hamare shahr mein aksar mela laga nigaron ka ek zara si baat thi jis ka charcha pahuncha gali gali hum gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka dard ka kahna chikh hi utho dil ka kahna waza nibhao sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daron ka 'insha' ji ab ajnabiyon mein chain se baqi umr kate jin ki khatir basti chhodi nam na lo un pyaron ka