auron ka tha bayan to mauj sada rahe

auron ka tha bayan to mauj sada rahe
khud umr bhar asir-e-lab-e-muddaa rahe

misl-e-habab bahr-e-gham-e-hadsat mein
hum zer-e-bar-e-minnat-e-ab-o-hawa rahe

hum us se apni baat ka mangen agar jawab
lahron ka pech-o-kham wo khada dekhta rahe

aaya to apni aankh bhi apni na ban saki
hum sochte the us se kabhi samna rahe

gulshan mein the to raunaq-e-rang-e-chaman bane
jangal mein hum amanat-e-baad-e-saba rahe

surkhi bane to khun-e-shahidan ka rang the
raushan hue to mashal-e-rah-e-baqa rahe

'amjad' dar-e-nigar pe dastak hi dijiye
is be-karan sukut mein kuchh ghalghala rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close