auron pe ittifaq se sabqat mili mujhe

auron pe ittifaq se sabqat mili mujhe
bhule se sar-kashi ki riwayat mili mujhe

ghairon ki dosti se kise hamdami mili
sab se bichhad ke apni rifaqat mili mujhe

shahron mein bhi sarab ki tahrir padh saka
na-bina falsafi ki basarat mili mujhe

bas mera zikr aate hi mahfil ujad gai
shaitan ke baad dusri shohrat mili mujhe

duniya mein roz hashr ka hangam dekh kar
mahjub sar barahna qayamat mili mujhe

kuchh dil-kharash sher kahe aur chal basa
han zindagi mein itni hi mohlat mili mujhe

socha tha apne ahd ka ek marsiya likhun
'baqar' ghazal hi kahne ki fursat mili mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close